ZaKHm Dekhe Na Mere ZaKHm Ki Shiddat Dekhe

zaKHm dekhe na mere zaKHm ki shiddat dekhe

dekhne wala meri aankhon ki hairat dekhe

mujh pe aasan hai kahe lafz ka ifa karna

us ko mushkil hai to wo apni suhulat dekhe

dil liye jata hai phir ku-e-malamat ki taraf

aankh ko chahiye phir KHwab-e-hazimat dekhe

koi surat ho ki inkar se pahle aa kar

kis qadar us ki yahan par hai zarurat dekhe

dil tazabzub mein hi rahta hai ba-waqt-e-paiman

lafz dekhe ki ruKH-e-yar ki rangat dekhe

aankh bhar jati hai is kasrat-e-nazzara se

dil to har shakl mein bas ek shabahat dekhe

(667) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

ZaKHm Dekhe Na Mere ZaKHm Ki Shiddat Dekhe In English By Famous Poet Akram Mahmud. ZaKHm Dekhe Na Mere ZaKHm Ki Shiddat Dekhe is written by Akram Mahmud. Read famous Poem ZaKHm Dekhe Na Mere ZaKHm Ki Shiddat Dekhe for youth and Student by Akram Mahmud. Free Download ZaKHm Dekhe Na Mere ZaKHm Ki Shiddat Dekhe in PDF.