Koi Ilzam Mere Nam Mere Sar Nahin Aaya

koi ilzam mere nam mere sar nahin aaya

wo jo tufan andar tha mere bahar nahin aaya

ye kis ki did ne aankhon ko bhar Dala KHala se yun

ki phir aankhon mein koi dusra manzar nahin aaya

junun-bardar koi ru-e-sahra par nahin dekha

kanar-e-abju pyasa koi lashkar nahin aaya

hui barish daraKHton ne badan se gard sab jhaDi

koi sawan koi mausam mere andar nahin aaya

kahin pathra gai aankhen kahin shal hauslon ke panw

kahin rah-rau nahin pahuncha kahin par ghar nahin aaya

kabhi kashti pe koi baadban main ne nahin rakkha

uDanon ke liye meri koi shahpar nahin aaya

nahin ho kar bhi hai har sans mein shamil muqabil bhi

magar zi-hosh kahte hain koi ja kar nahin aaya

(889) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Koi Ilzam Mere Nam Mere Sar Nahin Aaya In English By Famous Poet Akram Naqqash. Koi Ilzam Mere Nam Mere Sar Nahin Aaya is written by Akram Naqqash. Read famous Poem Koi Ilzam Mere Nam Mere Sar Nahin Aaya for youth and Student by Akram Naqqash. Free Download Koi Ilzam Mere Nam Mere Sar Nahin Aaya in PDF.