Jaana To Bahut Dur Hai Mahtab Se Aage

jaana to bahut dur hai mahtab se aage

baDhte hi nahin panw tere KHwab se aage

kuchh aur hasin moD the rudad-e-safar mein

likkha na magar kuchh bhi tere bab se aage

tahzib ki zanjir se uljha raha main bhi

tu bhi na baDha jism ke aadab se aage

moti ke KHazane bhi tah-e-ab chhupe the

nikla na koi KHatra-e-girdab se aage

dekho to kabhi dasht bhi aabaad hai kaisa

niklo to zara KHitta-e-shadab se aage

bichhDa to nahin koi tumhaara bhi safar mein

kyun bhage chale jate ho betab se aage

duniya ka chalan dekh ke lagta to yahi hai

ab kuchh bhi nahin aalam-e-asbab se aage

(954) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jaana To Bahut Dur Hai Mahtab Se Aage In English By Famous Poet Alam Khursheed. Jaana To Bahut Dur Hai Mahtab Se Aage is written by Alam Khursheed. Read famous Poem Jaana To Bahut Dur Hai Mahtab Se Aage for youth and Student by Alam Khursheed. Free Download Jaana To Bahut Dur Hai Mahtab Se Aage in PDF.