Jal Bujha Hun Main Magar Sara Jahan Tak Mein Hai

jal bujha hun main magar sara jahan tak mein hai

koi tasir to maujud meri KHak mein hai

khenchti rahti hai har lamha mujhe apni taraf

jaane kya chiz hai jo parda-e-aflak mein hai

koi surat bhi nahin milti kisi surat mein

kuza-gar kaisa karishma tere is chaak mein hai

kaise Thahrun ki kisi shahr se milta hi nahin

ek naqsha jo mere dida-e-namnak mein hai

ye ilaqa bhi magar dil hi ke tabe Thahra

hum samajhte the aman gosha-e-idrak mein hai

qatl hote hain yahan nara-e-elan ke sath

waza-dari to abhi aalam-e-saffak mein hai

kitni chizon ke bhala nam tujhe ginwaun

sari duniya hi to shamil meri imlak mein hai

raegan koi bhi shai hoti nahin hai 'alam'

ghaur se dekhiye kya kya KHas-o-KHashak mein hai

(783) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jal Bujha Hun Main Magar Sara Jahan Tak Mein Hai In English By Famous Poet Alam Khursheed. Jal Bujha Hun Main Magar Sara Jahan Tak Mein Hai is written by Alam Khursheed. Read famous Poem Jal Bujha Hun Main Magar Sara Jahan Tak Mein Hai for youth and Student by Alam Khursheed. Free Download Jal Bujha Hun Main Magar Sara Jahan Tak Mein Hai in PDF.