Thapak Thapak Ke Jinhen Hum Sulate Rahte Hain

thapak thapak ke jinhen hum sulate rahte hain

wo KHwab hum ko hamesha jagate rahte hain

umiden jagti rahti hain soti rahti hain

dariche shama jalate bujhate rahte hain

na jaane kis ka hamein intizar rahta hai

ki baam-o-dar ko hamesha sajate rahte hain

kisi ko DhunDte hain hum kisi ke paikar mein

kisi ka chehra kisi se milate rahte hain

wo naqsh-e-KHwab mukammal kabhi nahin hota

tamam umr jise hum banate rahte hain

usi ka aks har ek rang mein jhalakta hai

wo ek dard jise sab chhupate rahte hain

hamein KHabar hai kabhi lauT kar na aaenge

gae dinon ko magar hum bulate rahte hain

ye khel sirf tumhin khelte nahin 'alam'

sabhi KHala mein lakiren banate rahte hain

(842) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Thapak Thapak Ke Jinhen Hum Sulate Rahte Hain In English By Famous Poet Alam Khursheed. Thapak Thapak Ke Jinhen Hum Sulate Rahte Hain is written by Alam Khursheed. Read famous Poem Thapak Thapak Ke Jinhen Hum Sulate Rahte Hain for youth and Student by Alam Khursheed. Free Download Thapak Thapak Ke Jinhen Hum Sulate Rahte Hain in PDF.