Safar Mein Rah Ke Aashob Se Na Dar Jaana

safar mein rah ke aashob se na Dar jaana

paDe jo aag ka dariya to par kar jaana

ye ek ishaara hai aafat-e-na-gahani ka

kisi jagah se parindon ka kuch kar jaana

tumhaara qurb bhi duri ka istiara hai

ki jaise chand ka talab mein utar jaana

tulu-e-mahr-e-daraKHshan ki ek alamat hai

uThae sham-e-yaqin us ka dar par jaana

hum apne ishq ki ab aur kya shahadat den

hamein hamare raqibon ne mo'tabar jaana

har ek shaKH ko pahna gaya numu ka libas

safir-e-mausam-e-gul ka shajar shajar jaana

hum apni sada-dili mein bhi be-misal rahe

jo ham-safar bhi na tha us ko rahbar jaana

(1339) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Safar Mein Rah Ke Aashob Se Na Dar Jaana In English By Famous Poet Alamtaab Tishna. Safar Mein Rah Ke Aashob Se Na Dar Jaana is written by Alamtaab Tishna. Read famous Poem Safar Mein Rah Ke Aashob Se Na Dar Jaana for youth and Student by Alamtaab Tishna. Free Download Safar Mein Rah Ke Aashob Se Na Dar Jaana in PDF.