Gardish-e-mai Ka Is Par Na Hoga Asar Mast Aankhon Ka Jadu Jise Yaad Hai

gardish-e-mai ka is par na hoga asar mast aankhon ka jadu jise yaad hai

wo nasim-e-gulistan se bahlega kya tere aanchal ki KHushbu jise yaad hai

tishnagi ki wo shiddat ko bhulega kya dhup ki wo tamazat ko bhulega kya

teri be-faiz aankhen jise yaad hain tera be-saya gesu jise yaad hai

koi mumtaz hai aur na shah-e-jahan soz aur saz hai kuchh alag hi yahan

taj-mahalon ke wo KHwab dekhega kya sang-e-marmar ka zanu jise yaad hai

us ko dukh-dard koi chhalega nahin us ki duniya ka suraj Dhalega nahin

tere bachpan ki KHushiyan jise yaad hain tere daman ka jugnu jise yaad hai

ai 'alim' aafaton ke ye lashkar hain kya ek mahshar nahin lakh mahshar hain kya

us ko fitnon ki parwah bilkul nahin tera ek ek ghunghru jise yaad hai

(755) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Gardish-e-mai Ka Is Par Na Hoga Asar Mast Aankhon Ka Jadu Jise Yaad Hai In English By Famous Poet Aleem Usmani. Gardish-e-mai Ka Is Par Na Hoga Asar Mast Aankhon Ka Jadu Jise Yaad Hai is written by Aleem Usmani. Read famous Poem Gardish-e-mai Ka Is Par Na Hoga Asar Mast Aankhon Ka Jadu Jise Yaad Hai for youth and Student by Aleem Usmani. Free Download Gardish-e-mai Ka Is Par Na Hoga Asar Mast Aankhon Ka Jadu Jise Yaad Hai in PDF.