Main Naqsh-ha-e-KHun-e-wafa ChhoD Jaunga

main naqsh-ha-e-KHun-e-wafa chhoD jaunga

yani ki raaz-e-rang-e-hina chhoD jaunga

tu aane wale kal ke liye kyun hai fikrmand

tere liye main apni dua chhoD jaunga

tere KHilaf koi na khole kabhi zaban

teri nigah mein wo nasha chhoD jaunga

aa jaiyega shauq se be bechain jab ho dil

darwaza apne ghar ka khula chhoD jaunga

ruKHsar-o-lab ki teri na kam hongi raunaqen

main har ghazal mein zikr tera chhoD jaunga

aaine de sakenge na tujh ko kabhi fareb

teri jabin pe tera pata chhoD jaunga

ek KHas chiz chhoDunga sab ke liye 'alim'

pahle se kyun bataun ki kya chhoD jaunga

(988) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Main Naqsh-ha-e-KHun-e-wafa ChhoD Jaunga In English By Famous Poet Aleem Usmani. Main Naqsh-ha-e-KHun-e-wafa ChhoD Jaunga is written by Aleem Usmani. Read famous Poem Main Naqsh-ha-e-KHun-e-wafa ChhoD Jaunga for youth and Student by Aleem Usmani. Free Download Main Naqsh-ha-e-KHun-e-wafa ChhoD Jaunga in PDF.