Maut Aai Hai Zamane Ki To Mar Jaane Do

maut aai hai zamane ki to mar jaane do

kam se kam us ki jawani to guzar jaane do

jag uTThenge hum abhi aisi zarurat kya hai

dhup diwar se kuchh aur utar jaane do

muddaten ho gain ek baat mere zehn mein hai

sochta hun tumhein batlaun magar jaane do

gardish-e-waqt ka kitna hai kushada aangan

ab to mujh ko isi aangan mein bikhar jaane do

KHush-nasibi se idhar aatish-e-gham KHub hai tez

dosto ab meri hasti ko nikhar jaane do

koi manzil nahin rah jaegi sar hone ko

aadmi ko zara allah se Dar jaane do

toD do baDh ke ye mafruza wafaon ke hisar

dil ki aawaz jidhar jae udhar jaane do

waqt ke hath ka phenka hua patthar hun main

ab to mujh ko kisi shishe mein utar jaane do

uljhanen KHatm na kyun hongi zamane ki 'alim'

un ke uljhe hue gesu to sanwar jaane do

(840) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Maut Aai Hai Zamane Ki To Mar Jaane Do In English By Famous Poet Aleem Usmani. Maut Aai Hai Zamane Ki To Mar Jaane Do is written by Aleem Usmani. Read famous Poem Maut Aai Hai Zamane Ki To Mar Jaane Do for youth and Student by Aleem Usmani. Free Download Maut Aai Hai Zamane Ki To Mar Jaane Do in PDF.