KHizan Ki Zard Si Rangat Badal Bhi Sakti Hai

KHizan ki zard si rangat badal bhi sakti hai

bahaar aane ki surat nikal bhi sakti hai

jala ke shama ab uTh uTh ke dekhna chhoDo

wo zimmedari se az-KHud pighal bhi sakti hai

hai shart subh ke raste se ho ke sham aae

to raat us ko sahar mein badal bhi sakti hai

zara sambhal ke jalana aqidaton ke charagh

bhaDak na jaen ki masnad ye jal bhi sakti hai

abhi to chaak pe jari hai raqs miTTi ka

abhi kumhaar ki niyyat badal bhi sakti hai

ye aaftab se kah do ki fasla rakkhe

tapish se barf ki diwar gal bhi sakti hai

tere na aane ki tashrih kuchh zaruri nahin

ki tere aate hi duniya badal bhi sakti hai

koi zaruri nahin wo hi dil ko shad kare

'alina' aap tabiat bahal bhi sakti hai

(1235) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

KHizan Ki Zard Si Rangat Badal Bhi Sakti Hai In English By Famous Poet Aleena Itrat. KHizan Ki Zard Si Rangat Badal Bhi Sakti Hai is written by Aleena Itrat. Read famous Poem KHizan Ki Zard Si Rangat Badal Bhi Sakti Hai for youth and Student by Aleena Itrat. Free Download KHizan Ki Zard Si Rangat Badal Bhi Sakti Hai in PDF.