Mujhe To Intizar-e-ishq Mein Hi Lutf Aata Hai

mujhe to intizar-e-ishq mein hi lutf aata hai

kisi ki chahaton ka rang har dhaDkan pe tari ho

ajab sa karb bechaini musalsal be-qarari ho

nigahen muntazir furqat kasak aur aah-o-zari ho

mujhe to intizar-e-ishq mein hi lutf aata hai

kabhi pahlu mein milta hai kabhi wo dur jata hai

kisi ke jism o jaan ko ishq har lamha jalata hai

tasawwur kaise kaise dil-nashin manzar dikhata hai

mujhe to intizar-e-ishq mein hi lutf aata hai

abhi to furqat-e-jaanan ke qisse KHub likhne hain

dabi chahat ke naghme aur tarane KHub likhne hain

rifaqat mein judai ke fasane KHub likhne hain

mujhe to intizar-e-ishq mein hi lutf aata hai

'alina' intizar-e-ishq ghazlon ko saja dega

visal-e-yar to bas chand lamhon ka maza dega

milan ho phir judai aisa pal har pal saza dega

mujhe to intizar-e-ishq mein hi lutf aata hai

(974) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mujhe To Intizar-e-ishq Mein Hi Lutf Aata Hai In English By Famous Poet Aleena Itrat. Mujhe To Intizar-e-ishq Mein Hi Lutf Aata Hai is written by Aleena Itrat. Read famous Poem Mujhe To Intizar-e-ishq Mein Hi Lutf Aata Hai for youth and Student by Aleena Itrat. Free Download Mujhe To Intizar-e-ishq Mein Hi Lutf Aata Hai in PDF.