Dil Ke Dagh Mein Sisa Hai Aur ZaKHm-e-jigar Mein Tanba Hai

dil ke dagh mein sisa hai aur zaKHm-e-jigar mein tanba hai

itna bhaari sina le kar shaKHs aawara phirta hai

kanch ke reze tez hawa mein bawle uDte phirte hain

nange badan ki chandni se phir tara tara girta hai

aadhe peD pe sabz parinde aadha peD aasebi hai

kaise khule ye ram-kahani kaun sa hissa mera hai

kale dewta muTThi bhar bhar sune gharon mein phenkte hain

kohr-zada basti ke chauk mein rakh ka uncha Tila hai

sard shabon ka pochhne walo in raaton ke tare dur

dhundle chand ki nabzen gungi aag ka chehra nila hai

piplon wali galiyan ujDi Dher hain pile patton ke

samne wali surKH haweli mein bhuton ka Dera hai

(724) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dil Ke Dagh Mein Sisa Hai Aur ZaKHm-e-jigar Mein Tanba Hai In English By Famous Poet Ali Akbar Natiq. Dil Ke Dagh Mein Sisa Hai Aur ZaKHm-e-jigar Mein Tanba Hai is written by Ali Akbar Natiq. Read famous Poem Dil Ke Dagh Mein Sisa Hai Aur ZaKHm-e-jigar Mein Tanba Hai for youth and Student by Ali Akbar Natiq. Free Download Dil Ke Dagh Mein Sisa Hai Aur ZaKHm-e-jigar Mein Tanba Hai in PDF.