GhanTiyan Bajne Se Pahle Sham Hone Ke Qarib

ghanTiyan bajne se pahle sham hone ke qarib

chhoD jata main tera ganw magar mere nasib

dhup phaili to kaha diwar ne jhuk kar mujhe

mil gale mere musafir, mere sae ke habib

lauT aae hain shafaq se log be-nil-e-muram

rang palkon se uTha lae magar tere najib

main wo pardesi nahin jis ka na ho pursan koi

sabz baghon ke parinde mere watanon ke naqib

(728) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

GhanTiyan Bajne Se Pahle Sham Hone Ke Qarib In English By Famous Poet Ali Akbar Natiq. GhanTiyan Bajne Se Pahle Sham Hone Ke Qarib is written by Ali Akbar Natiq. Read famous Poem GhanTiyan Bajne Se Pahle Sham Hone Ke Qarib for youth and Student by Ali Akbar Natiq. Free Download GhanTiyan Bajne Se Pahle Sham Hone Ke Qarib in PDF.