Kase Kajawe Mahmalon Ke Aur Jaga Raat Ka Tara Bhi

kase kajawe mahmalon ke aur jaga raat ka tara bhi

chhoD di basti naqon ne KHamosh hua naqqara bhi

chand si aankhen khel rahi thin surKH pahaD ki oTon se

purab or se tak raha tha uTh kar abr ka para bhi

qafile gard-e-safar mein Dube, ghanTiyon ki aawaz ghuTi

aaKHiri unT ki pusht pe Dala raat ne siyah gharara bhi

shahr ke chauk mein virani hai aag bujhi, andher hua

rakh saron mein Dal ke baiThe, aaj tere aawara bhi

koi na rasta nap saka hai, ret pe chalne walon ka

agle qadam par miT jaega pahla naqsh hamara bhi

(761) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kase Kajawe Mahmalon Ke Aur Jaga Raat Ka Tara Bhi In English By Famous Poet Ali Akbar Natiq. Kase Kajawe Mahmalon Ke Aur Jaga Raat Ka Tara Bhi is written by Ali Akbar Natiq. Read famous Poem Kase Kajawe Mahmalon Ke Aur Jaga Raat Ka Tara Bhi for youth and Student by Ali Akbar Natiq. Free Download Kase Kajawe Mahmalon Ke Aur Jaga Raat Ka Tara Bhi in PDF.