Rah-zani KHub Nahin KHwaja-saraon Ke Liye

rahzani KHub nahin KHwaja-saraon ke liye

shor payal ka sar-e-rah na ruswa kar de

hath uThenge to kangan ki sada aaegi

tirgi fitna-e-shahwat ko hawa deti hai

chandni raqs pe majbur kiya karti hai

narm resham se bune shoKH dupaTTon ki qasam

log luTne ko sar-e-rah chale aaenge

is qadar aaenge bhar jaega phir raat ka dil

saKHt lahja gul-e-naghma mein badal jaega

KHun bahane ke ewaz itr-fishani hogi

hosh aaega to bikhre paDe honge ghungru

subh phir chaak libason ka tamasha hoga

rahzani KHub nahin KHwaja-saraon ke liye

(844) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Rah-zani KHub Nahin KHwaja-saraon Ke Liye In English By Famous Poet Ali Akbar Natiq. Rah-zani KHub Nahin KHwaja-saraon Ke Liye is written by Ali Akbar Natiq. Read famous Poem Rah-zani KHub Nahin KHwaja-saraon Ke Liye for youth and Student by Ali Akbar Natiq. Free Download Rah-zani KHub Nahin KHwaja-saraon Ke Liye in PDF.