Fareb-e-jalwa Kahan Tak Ba-ru-e-kar Rahe

fareb-e-jalwa kahan tak ba-ru-e-kar rahe

naqab uThao ki kuchh din zara bahaar rahe

KHarab-e-shauq rahe waqf-e-intizar rahe

ab aur kya tere wadon ka e'tibar rahe

main raaz-e-ishq ko ruswa karun maaz-allah

ye baat aur hai dil par na iKHtiyar rahe

chaman mein rakh to raha hun bina nasheman ki

KHuda kare ki zamana bhi sazgar rahe

junun ka ruKH hai harim-e-hayat ki jaanib

ilahi parda-e-auham-e-e'tibar rahe

(624) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Fareb-e-jalwa Kahan Tak Ba-ru-e-kar Rahe In English By Famous Poet Ali Akhtar Akhtar. Fareb-e-jalwa Kahan Tak Ba-ru-e-kar Rahe is written by Ali Akhtar Akhtar. Read famous Poem Fareb-e-jalwa Kahan Tak Ba-ru-e-kar Rahe for youth and Student by Ali Akhtar Akhtar. Free Download Fareb-e-jalwa Kahan Tak Ba-ru-e-kar Rahe in PDF.