Yaad Ek Daricha Hai

zehn ki imarat mein

yaad ek daricha hai

aur is dariche ke

gird dur tak phaila

waqt ka samundar hai

waqt ke samundar mein

din mahine lahren hain

tund-o-tez lahron par

tairte hue lamhe

KHush-gulu parinde hain

yaad ek daricha hai

jab kabhi akele mein

dil udas hota hai

hum isi dariche se

par jhank lete hain

waqt ke samundar mein

KHush-gawar lamhon ki

ranga-rang taswiren

jaan-dar lagti hain

shandar lagti hain

aur zinda rahne ka

ek jawaz banti hain

(707) Peoples Rate This

Ali Asghar Abbas's More Poetry

Your Thoughts and Comments

Yaad Ek Daricha Hai In English By Famous Poet Ali Asghar Abbas. Yaad Ek Daricha Hai is written by Ali Asghar Abbas. Read famous Poem Yaad Ek Daricha Hai for youth and Student by Ali Asghar Abbas. Free Download Yaad Ek Daricha Hai in PDF.