Sattar Maon Ka Pyar

kitabon ka zina bana kar

machani se main ne miThai churai to

ghar mein kisi ko bhi ghussa na aaya

ye kam-sin zehanat ki tasir thi

ya shararat ki shirin shakar-qandiyon jaisi umron ki lazzat

abhi tak wo KHush-zaeqa waqia

jab rag-e-jaan mein ghulta hai

bachpan ke baghat ki titliyan

phul ban kar barasti hain

pathrili umron ke din raat ki

zard kali musibat ka gham bhul kar

muskurahaT ki miThi phuwaren

bayaban ko jal-thal banati hain gati hain

ek do tin

allah miyan ki zamin

chaar panch chhe sat

sare mil kar khaen bhat

aaTh nau das pani miTha ras

pani ki lahron pe hachkole khati hui

kaghazi-umr ki naw

karwaT badal kar ulaT deti hai KHwab sare

kitabon pe girte hue aansuon se

siyahi ke dariya hi bante hain

dariya samundar banate hain

sare samundar siyahi qalam ban gain sari shaKHen

qasam ungliyon ki

mohabbat bhara KHat mere aur tere darmiyan tir hai

main likkhun aur likhta rahun ta-qayamat

mohabbat ki nazmen

magar jaaniyan in kitabon ko zina bana kar

kai bar main ne

tere aasmanon pe ja kar

tujhe DhunD lane ki nakaam koshish mein

aansu bahae

siyahi ke dariya banae

kahan hai tu KHud apni shirin sada se

meri tira-baKHti mein

shubhraat ki misriyan ghol de

man to naraaz hai

ab kai roz se bolti bhi nahin

(764) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sattar Maon Ka Pyar In English By Famous Poet Ali Mohammad Farshi. Sattar Maon Ka Pyar is written by Ali Mohammad Farshi. Read famous Poem Sattar Maon Ka Pyar for youth and Student by Ali Mohammad Farshi. Free Download Sattar Maon Ka Pyar in PDF.