Fasl-e-gul Fasl-e-KHizan Jo Bhi Ho KHush-dil Rahiye

fasl-e-gul fasl-e-KHizan jo bhi ho KHush-dil rahiye

koi mausam ho har ek rang mein kaamil rahiye

mauj o girdab o talatum ka taqaza hai kuchh aur

rahiye mohtat to bas ta-lab-e-sahil rahiye

dekhte rahiye ki ho jae na kam shan-e-junun

aaina ban ke KHud apne hi muqabil rahiye

un ki nazron ke siwa sab ki nigahen uTThin

mahfil-e-yar mein bhi zinat-e-mahfil rahiye

dil pe har haal mein hai sohbat-e-na-jins haram

haif-sad-haif ki na-jinson mein shamil rahiye

dagh sine ka dahakta rahe jalta rahe dil

raat baqi hai jahan tak mah-e-kaamil rahiye

jaaniye daulat-e-kaunain ko bhi jins-e-haqir

aur dar-e-yar pe ek bose ke sail rahiye

aashiqi shewa-e-rindan-e-bala-kash hai miyan

wajh-e-shaistagi-e-KHanjar-e-qatil rahiye

(1099) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Fasl-e-gul Fasl-e-KHizan Jo Bhi Ho KHush-dil Rahiye In English By Famous Poet Ali Sardar Jafri. Fasl-e-gul Fasl-e-KHizan Jo Bhi Ho KHush-dil Rahiye is written by Ali Sardar Jafri. Read famous Poem Fasl-e-gul Fasl-e-KHizan Jo Bhi Ho KHush-dil Rahiye for youth and Student by Ali Sardar Jafri. Free Download Fasl-e-gul Fasl-e-KHizan Jo Bhi Ho KHush-dil Rahiye in PDF.