Ishq Ka Naghma Junun Ke Saz Par Gate Hain Hum

ishq ka naghma junun ke saz par gate hain hum

apne gham ki aanch se patthar ko pighlate hain hum

jag uThte hain to suli par bhi nind aati nahin

waqt paD jae to angaron pe so jate hain hum

zindagi ko hum se baDh kar kaun kar sakta hai pyar

aur agar marne pe aa jaen to mar jate hain hum

dafn ho kar KHak mein bhi dafn rah sakte nahin

lala-o-gul ban ke viranon pe chha jate hain hum

hum ki karte hain chaman mein ehtimam-e-rang-o-bu

ru-e-geti se naqab-e-husn sarkate hain hum

aks paDte hi sanwar jate hain chehre ke nuqush

shahid-e-hasti ko yun aaina dikhlate hain hum

mai-kashon ko muzhda sadiyon ke pyason ko nawed

apni mahfil apna saqi le ke ab aate hain hum

(805) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ishq Ka Naghma Junun Ke Saz Par Gate Hain Hum In English By Famous Poet Ali Sardar Jafri. Ishq Ka Naghma Junun Ke Saz Par Gate Hain Hum is written by Ali Sardar Jafri. Read famous Poem Ishq Ka Naghma Junun Ke Saz Par Gate Hain Hum for youth and Student by Ali Sardar Jafri. Free Download Ishq Ka Naghma Junun Ke Saz Par Gate Hain Hum in PDF.