Ab Bhi Raushan Hain

ab bhi raushan hain wahi dast hina-aluda

reg-e-sahra hai na qadmon ke nishan baqi hain

KHushk ashkon ki nadi KHun ki Thahri hui dhaar

bhule-bisre hue lamhat ke sukhe hue KHar

hath uThae hue aflak ki jaanib ashjar

kaamrani hi ki ginti na hazimat ka shumar

sirf ek dard ka jangal hai faqat hu ka dayar

jab guzarti hai magar KHwabon ke virane se

ashk-aluda tabassum ke charaghon ki qatar

jagmaga uThte hain gesu-e-saba-aluda

Toliyan aati hain nau-umr tamannaon ki

dasht-e-be-rang-e-KHamoshi mein machati hui shor

phul mathe se baraste hain nazar se tare

ek ek gam pe jadu ke mahl bante hain

naddiyan bahti hain aanchal se hawa chalti hai

pattiyan hansti hain uDta hai kiran ka sona

aisa lagta hai ki be-rahm nahin hai duniya

aisa lagta hai ki be-zulm zamane ke hain hath

bewafai bhi ho jis tarah wafa-aluda

aur phir shaKHon se talwaren baras paDti hain

jabr jag uThta hai saffaki jawan hoti hai

sae jo sabz the paD jate hain pal bhar mein siyah

aur har moD pe ifriton ka hota hai guman

koi bhi rah ho maqtal ki taraf muDti hai

dil mein KHanjar ke utarne ki sada aati hai

tirgi KHun ke ujale mein naha jati hai

sham-e-gham hoti hai namnak o ziya-aluda

yahi mazlumon ki jit aur yahi zalim ki shikast

ki tamannaen salibon se utar aati hain

apni qabron se nikalti hain masiha ban kar

qatl-gahon se wo uThti hain duaon ki tarah

dasht o dariya se guzarti hain hawaon ki tarah

mohr jab lagti hai honTon pe zaban par tale

qaid jab hoti hai sine mein dilon ki dhaDkan

ruh chiKH uThti hai hilte hain shajar aur hajar

KHamushi hoti hai kuchh aur nawa-aluda

sar-kashi DhunDhti hai zauq-e-gunahgari ko

KHud se sharminda nahin auron se sharminda nahin

ye mera dil ki hai masum o KHata-alud

(941) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ab Bhi Raushan Hain In English By Famous Poet Ali Sardar Jafri. Ab Bhi Raushan Hain is written by Ali Sardar Jafri. Read famous Poem Ab Bhi Raushan Hain for youth and Student by Ali Sardar Jafri. Free Download Ab Bhi Raushan Hain in PDF.