Dosti Ka Hath

tumhaara hath baDha hai jo dosti ke liye

mere liye hai wo ek yar-e-gham-gusar ka hath

wo hath shaKH-e-gul-e-gulshan-e-tamanna hai

mahak raha hai mere hath mein bahaar ka hath

KHuda kare ki salamat rahen ye hath apne

ata hue hain jo zulfen sanwarne ke liye

zamin se naqsh miTane ko zulm o nafrat ka

falak se chand sitare utarne ke liye

zamin-e-pak hamare jigar ka TukDa hai

hamein aziz hai dehli o lucknow ki tarah

tumhaare lahje mein meri nawa ka lahja hai

tumhaara dil hai hasin meri aarzu ki tarah

karen ye ahd ki auzar-e-jang jitne hain

unhen miTana hai aur KHak mein milana hai

karen ye ahd ki arbab-e-jang hain jitne

unhen sharafat o insaniyat sikhana hai

jien tamam hasinan-e-KHaibar-o-lahore

jien tamam jawanan-e-jannat-e-kashmir

ho lab pe naghma-e-mahr-o-wafa ki tabani

kitab-e-dil pe faqat harf-e-ishq ho tahrir

tum aao gulshan-e-lahore se chaman-bardosh

hum aaen subh-e-banaras ki raushni le kar

himaliya ki hawaon ki tazgi le kar

phir is ke baad ye puchhen ki kaun dushman hai

(1241) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dosti Ka Hath In English By Famous Poet Ali Sardar Jafri. Dosti Ka Hath is written by Ali Sardar Jafri. Read famous Poem Dosti Ka Hath for youth and Student by Ali Sardar Jafri. Free Download Dosti Ka Hath in PDF.