Ek KHwab Aur

KHwab ab husn-e-tasawwur ke ufuq se hain pare

dil ke ek jazba-e-masum ne dekhe the jo KHwab

aur tabiron ke tapte hue sahraon mein

tishnagi aabla-pa shola-ba-kaf mauj-e-sarab

ye to mumkin nahin bachpan ka koi din mil jae

ya palaT aae koi saat-e-nayab-e-shabab

phuT nikle kisi afsurda tabassum se kiran

ya damak uTThe kisi dast-e-burida mein gulab

aah patthar ki lakiren hain ki yaadon ke nuqush

kaun likh sakta hai phir umr-e-guzishta ki kitab

bite lamhat ke soe hue tufanon mein

tairte phirte hain phuTi hui aankhon ke hubab

tabish-e-rang-e-shafaq aatish-e-ru-e-KHurshid

mil ke chehre pe sahar aai hai KHun-e-ahbab

jaane kis moD pe kis rah mein kya biti hai

kis se mumkin hai tamannaon ke zaKHmon ka hisab

aastinon ko pukarenge kahan tak aansu

ab to daman ko pakaDte hain lahu ke girdab

dekhti phirti hai ek ek munh KHamoshi

jaane kya baat hai sharminda hai andaz-e-KHitab

dar-ba-dar Thokaren khate hue phirte hain sawal

aur mujrim ki tarah un se gurezan hai jawab

sarkashi phir main tujhe aaj sada deta hun

main tera shair-e-awara o be-bak-o-KHarab

phenk phir jazba-e-be-tab ki aalam pe kamand

ek KHwab aur bhi ai himmat-e-dushwar-pasand

(966) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ek KHwab Aur In English By Famous Poet Ali Sardar Jafri. Ek KHwab Aur is written by Ali Sardar Jafri. Read famous Poem Ek KHwab Aur for youth and Student by Ali Sardar Jafri. Free Download Ek KHwab Aur in PDF.