Pairahan-e-sharar

khaDa hai kaun ye pairahan-e-sharar pahne

badan hai chur to mathe se KHun jari hai

zamana guzra ki farhad o qais KHatm hue

ye kis pe ahl-e-jahan hukm-e-sang-bari hai

yahan to koi bhi shirin ada-nigar nahin

yahan to koi bhi laila badan-bahaar nahin

ye kis ke nam pe zaKHmon ki lala-kari hai

koi diwana hai leta hai sach ka nam ab tak

fareb-o-makr ko karta nahin salam ab tak

hai baat saf saza is ki sang-sari hai

(862) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Pairahan-e-sharar In English By Famous Poet Ali Sardar Jafri. Pairahan-e-sharar is written by Ali Sardar Jafri. Read famous Poem Pairahan-e-sharar for youth and Student by Ali Sardar Jafri. Free Download Pairahan-e-sharar in PDF.