Ghamon Ki Dhup Mein Jalta Hun Misl-e-sahra Main

ghamon ki dhup mein jalta hun misl-e-sahra main

bichhaD gaya mera saya khaDa hun tanha main

koi bhi sath kahan tha rah-e-mohabbat mein

ye aur baat ki ab ho gaya akela main

kahin to bichhDe huon ka suragh paunga

nikal paDa hun yahi soch kar akela main

zamana mujh ko samajhne mein der karta raha

ye aur baat zamane ko bhi na samjha main

(776) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ghamon Ki Dhup Mein Jalta Hun Misl-e-sahra Main In English By Famous Poet Ali Wijdan. Ghamon Ki Dhup Mein Jalta Hun Misl-e-sahra Main is written by Ali Wijdan. Read famous Poem Ghamon Ki Dhup Mein Jalta Hun Misl-e-sahra Main for youth and Student by Ali Wijdan. Free Download Ghamon Ki Dhup Mein Jalta Hun Misl-e-sahra Main in PDF.