Kaha Tha Maine Kya Tu Ne Suna Kya

kaha tha main ne kya tu ne suna kya

magar is baat ka tujh se gila kya

jo mere karb se ghafil raha tha

usi ko ab kahun dard-ashna kya

yahi Thahri hai kashti Dub jae

to aise mein KHuda kya naKHuda kya

dilon ke rabte baqi hain jaanan

to phir ye darmiyan ka fasla kya

gali-kuchon mein sannaTa hai kaisa

'ali-wijdan' aashiq mar gaya kya

(909) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kaha Tha Maine Kya Tu Ne Suna Kya In English By Famous Poet Ali Wijdan. Kaha Tha Maine Kya Tu Ne Suna Kya is written by Ali Wijdan. Read famous Poem Kaha Tha Maine Kya Tu Ne Suna Kya for youth and Student by Ali Wijdan. Free Download Kaha Tha Maine Kya Tu Ne Suna Kya in PDF.