Sawad-e-shauq-o-talab Gham Ka Bab Aisa Tha

sawad-e-shauq-o-talab gham ka bab aisa tha

jala ke KHak kiya iztirab aisa tha

bahut hi talKH tha yani sharab aisa tha

sawal yaad nahin hai jawab aisa tha

tamazaton ne gham-e-hijr ki ujaD diya

badan tha phul sa chehra kitab aisa tha

main kanp kanp gaya hun ba-name--sud-o-ziyan

shumar-e-zaKHm-e-hunar ka jawab aisa tha

sulag rahe the mere honT jal raha tha badan

zaban se kuchh na kaha tha hijab aisa tha

meri talab hi bani mere panw ki zanjir

bhaTak raha hun main ab tak sarab aisa tha

jhulas ke rah gaya chehra tamam KHwabon ka

KHumar-e-tishna-labi ka azab aisa tha

wo ahd-e-gumrahi kahta hai us ki marzi hai

jo dekh le tu taDap jae KHwab aisa tha

bahut hi zoam tha apni mohabbaton pe use

nibha saka na wafa kaamyab aisa tha

rafaqaton ka fusun TuTna hi tha 'wijdan'

safar mein chhoD gaya hai KHarab aisa tha

(734) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sawad-e-shauq-o-talab Gham Ka Bab Aisa Tha In English By Famous Poet Ali Wijdan. Sawad-e-shauq-o-talab Gham Ka Bab Aisa Tha is written by Ali Wijdan. Read famous Poem Sawad-e-shauq-o-talab Gham Ka Bab Aisa Tha for youth and Student by Ali Wijdan. Free Download Sawad-e-shauq-o-talab Gham Ka Bab Aisa Tha in PDF.