Dil Ye Kahta Hai Ki Ek Aalam-e-muztar Dekhun

dil ye kahta hai ki ek aalam-e-muztar dekhun

barish-e-sang mein logon ko khule sar dekhun

phir wo musi ka asa nil ka shaq ho jaana

fauj firaun ka main Dubta manzar dekhun

aaine toD ke dauDun main kisi jangal ko

apni surat ko kisi jhil ke andar dekhun

mera sab le lo mujhe ek mohabbat de do

shahr mein aisi bhi aawaz laga kar dekhun

jaanta hun ki chhupa hai wo kahin sine mein

kash is dard ki surat ko main bahar dekhun

us ne ek roz mohabbat se bulaya tha mujhe

main to har roz use apne barabar dekhun

dur tak ek hi manzar hai makanon ka 'zahir'

kis taraf jaun main kis or mera ghar dekhun

(679) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dil Ye Kahta Hai Ki Ek Aalam-e-muztar Dekhun In English By Famous Poet Ali Zaheer Lakhnavi. Dil Ye Kahta Hai Ki Ek Aalam-e-muztar Dekhun is written by Ali Zaheer Lakhnavi. Read famous Poem Dil Ye Kahta Hai Ki Ek Aalam-e-muztar Dekhun for youth and Student by Ali Zaheer Lakhnavi. Free Download Dil Ye Kahta Hai Ki Ek Aalam-e-muztar Dekhun in PDF.