Pahle-pahal LaDenge TamasKHur UDaenge

pahle-pahal laDenge tamasKHur uDaenge

jab ishq dekh lenge to sar par biThaenge

tu to phir apni jaan hai tera to zikr kya

hum tere doston ke bhi naKHre uThaenge

'ghaalib' ne ishq ko jo dimaghi KHalal kaha

chhoDen ye ramz aap nahin jaan paenge

parkhenge ek ek ko le kar tumhaara nam

dushman hai kaun dost hai pahchan jaenge

qibla kabhi to taza-suKHan bhi karen ata

ye chaar-panch ghazlen hi kab tak sunaenge

aage to aane dijiye rasta to chhoDiye

hum kaun hain ye samne aa kar bataenge

ye ehtimam aur kisi ke liye nahin

tane tumhaare nam ke hum par hi aaenge

(13587) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Pahle-pahal LaDenge TamasKHur UDaenge In English By Famous Poet Ali Zaryoun. Pahle-pahal LaDenge TamasKHur UDaenge is written by Ali Zaryoun. Read famous Poem Pahle-pahal LaDenge TamasKHur UDaenge for youth and Student by Ali Zaryoun. Free Download Pahle-pahal LaDenge TamasKHur UDaenge in PDF.