Apne Se Be-samajh Ko Haq Ki Kahan Pachhanat

apne se be-samajh ko haq ki kahan pachhanat

'man-arafa' ko na bujha 'qad-arafa' sun jihaalat

hai farz bujh awwal apna pichhe KHuda ko

be-bujh bandagi hai sab ranj aur malamat

jannat ki tu mazduri bujha hai bandagi ko

baKHshish nahin hai hargiz juz lutf aur inayat

hirs-o-hawa mein paD kar haq sun hua hai baatil

phir mangta hai jannat kya nafs-e-bad-KHasalat

bin qalb ki huzuri manzur kyun paDega

roza namaz rasmi sajda sujud taat

mabud ke muqabil aabid ko abadiyat hai

ghibat mein chup rijhana kya mahz hai KHajalat

tan nafs aur dil ruh sar nur-e-zat mil kar

apne mein haq ko pana hai afzalulibaadat

bin pir ke KHuda ko paya na koi hargiz

kaamil ko kyun pacchane be-sidq o be-hidayat

nahin hai 'alim' ko sach taqwa amal pe apne

didar ka sanam ke kafi hai istaqamat

(688) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Apne Se Be-samajh Ko Haq Ki Kahan Pachhanat In English By Famous Poet Alimullah. Apne Se Be-samajh Ko Haq Ki Kahan Pachhanat is written by Alimullah. Read famous Poem Apne Se Be-samajh Ko Haq Ki Kahan Pachhanat for youth and Student by Alimullah. Free Download Apne Se Be-samajh Ko Haq Ki Kahan Pachhanat in PDF.