Daya Saqi Labaalab Mujhko Saghar

daya saqi labaalab mujh ko saghar

hua sara kudurat dil sun bahar

ajab tha mast saqi jam tera

chhupa baatin laga disne ko zahir

andhaara ghair ka ji sun gaya Tal

hua KHurshid aa ankhiyan mein hazir

diya zarre ko apne mahr sun nur

hua tis par karam sun aap nazir

laga kar faiz ka mujh jag mein engine

kiya hai ganj sun baatin ke mahir

tasadduq jaan-o-dil sun mein sarapa

nawazish hai teri do jag mein nadir

'alimullah' tera saqi sacha hai

laqab jis ko 'muhayuddin-qadir'

(715) Peoples Rate This

Related Poetry

Your Thoughts and Comments

Daya Saqi Labaalab Mujhko Saghar In English By Famous Poet Alimullah. Daya Saqi Labaalab Mujhko Saghar is written by Alimullah. Read famous Poem Daya Saqi Labaalab Mujhko Saghar for youth and Student by Alimullah. Free Download Daya Saqi Labaalab Mujhko Saghar in PDF.