Ghaflat Mein Soya Ab Tilak Phir Howega Hoshyar Kab

ghaflat mein soya ab tilak phir howega hoshyar kab

yari lagaya KHalq sun pawega apna yar kab

jhuTi mohabbat bandh kar ghafil raha apne sun haif

bulbul hun sanpDa dam mein dekhega phir gulzar kab

ye KHwab-o-KHur farzand-o-zan aur mal-o-zar zindan hua

to chhuT kar is qaid sun hasil kare didar kab

hirs-o-hawa bughz-o-hasad kibr-o-mani buKHl o jahal

is rah-zanan sun bach kar howega bar-KHurdar kab

is nafs-e-kafir-kesh ki KHaslat tujhe malum nahin

gar qatl kita nahin use tujh ko mile dildar kab

bin pir pahuncha nahin kabhi kui sahil-e-maqsud ko

mallah bin kashti kahin hoti hai dariya par kab

bar-haq 'alimullah' kaha rab qaul yahdi-main-yasha

jannat ke talib ko kaho aawe nazar didar kab

(830) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ghaflat Mein Soya Ab Tilak Phir Howega Hoshyar Kab In English By Famous Poet Alimullah. Ghaflat Mein Soya Ab Tilak Phir Howega Hoshyar Kab is written by Alimullah. Read famous Poem Ghaflat Mein Soya Ab Tilak Phir Howega Hoshyar Kab for youth and Student by Alimullah. Free Download Ghaflat Mein Soya Ab Tilak Phir Howega Hoshyar Kab in PDF.