Laga Kar Ishq Ka Kajra Nayan Ko

laga kar ishq ka kajra nayan ko

dikhaun yan seti hubbulwatan ko

bazan le jaun har lahze mein ek bar

ki jab lag ruh sun rishta hai tan ko

rahe aalam mein us ka sair aur tair

na dekhe us ke kui mastane-pan ko

chaman sun dil ke aalam ko KHabar nahin

hamesha dekhte KHaki badan ko

kar aaun sair dil ke bostan ka

na jawe wo kabhi hargiz chaman ko

dikhaun yar ke zulfan sun yak tar

na chahe phir kabhi mushk-e-KHutan ko

na tha aadam atha wo zat-e-mutlaq

sunaun ye sada ab tujh kiran ko

sadaf mein nain ke dikhlaun gauhar

na rakhe aarzu durr-e-adan ko

nahin gauhar wo hain jyun chand aur sur

'alimullah' jahan ke anjuman ko

(914) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Laga Kar Ishq Ka Kajra Nayan Ko In English By Famous Poet Alimullah. Laga Kar Ishq Ka Kajra Nayan Ko is written by Alimullah. Read famous Poem Laga Kar Ishq Ka Kajra Nayan Ko for youth and Student by Alimullah. Free Download Laga Kar Ishq Ka Kajra Nayan Ko in PDF.