Murgh Zirak Aql Ka Hai Ishq Ka Sayyaad ShoKH

murgh zirak aql ka hai ishq ka sayyaad shoKH

aql hai bisyar shirin ishq ka farhad shoKH

aql apne dam mein karta hai kul aalam ko qaid

band aur zanjir sun nit ishq hai aazad shoKH

aql bujha aashiqan sab wajibuttazir hain

qatil-e-aql-o-fahm hai ishq ka jallad shoKH

aql ko sab mulk mein hai dad insaf-o-adal

kya nihayat ishq ka hai baadshah be-dad shoKH

fahm aur fikrat mein apni aql gar faulad hai

aab karta hai gala kar ishq ka haddad shoKH

aql ke mizan mein aaya bahr aur bar ka hisab

nahin magar aaya adad mein ishq ka tadad shoKH

aql sun jaane guzar tab aashiqan pate hain wasl

ai 'alimullah' ajab hai ishq ka irshad shoKH

(784) Peoples Rate This

Related Poetry

Your Thoughts and Comments

Murgh Zirak Aql Ka Hai Ishq Ka Sayyaad ShoKH In English By Famous Poet Alimullah. Murgh Zirak Aql Ka Hai Ishq Ka Sayyaad ShoKH is written by Alimullah. Read famous Poem Murgh Zirak Aql Ka Hai Ishq Ka Sayyaad ShoKH for youth and Student by Alimullah. Free Download Murgh Zirak Aql Ka Hai Ishq Ka Sayyaad ShoKH in PDF.