Tezi Tere Mizhgan Ki Ye Nashtar Se Kahunga

tezi tere mizhgan ki ye nashtar se kahunga

abru ki shikayat dam-e-KHanjar se kahunga

ham-rang-e-shama ishq mein tere hun wa-lekin

ye soz-e-jigar aatish mujmar se kahunga

dekha hun main jis rose se tujh husn ka jhalka

hai dil mein kabhi jama-e-anwar se kahunga

tangi jo tere pista-dahan ki hai sarasar

sar-basta suKHan ghuncha-e-jauhar se kahunga

sairab na hun tujh lab-e-shirin se agar main

ye tishna-labi chashma-e-kausar se kahunga

bujha hai 'alim' aaj ki hai husn ka tu ganj

ye KHush-KHabari aashiq-e-be-zar se kahunga

(802) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tezi Tere Mizhgan Ki Ye Nashtar Se Kahunga In English By Famous Poet Alimullah. Tezi Tere Mizhgan Ki Ye Nashtar Se Kahunga is written by Alimullah. Read famous Poem Tezi Tere Mizhgan Ki Ye Nashtar Se Kahunga for youth and Student by Alimullah. Free Download Tezi Tere Mizhgan Ki Ye Nashtar Se Kahunga in PDF.