Dil Soz Se Khaali Hai Nigah Pak Nahin Hai

dil soz se KHali hai nigah pak nahin hai

phir is mein ajab kya ki tu bebak nahin hai

hai zauq-e-tajalli bhi isi KHak mein pinhan

ghafil tu nira sahib-e-idrak nahin hai

wo aankh ki hai surma-e-afrang se raushan

purkar o suKHan-saz hai namnak nahin hai

kya sufi o mulla ko KHabar mere junun ki

un ka sar-e-daman bhi abhi chaak nahin hai

kab tak rahe mahkumi-e-anjum mein meri KHak

ya main nahin ya gardish-e-aflak nahin hai

bijli hun nazar koh o bayaban pe hai meri

mere liye shayan KHas-o-KHashak nahin hai

aalam hai faqat momin-e-jaan-baz ki miras

momin nahin jo sahib-e-laulak nahin hai

(3684) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dil Soz Se Khaali Hai Nigah Pak Nahin Hai In English By Famous Poet Allama Iqbal. Dil Soz Se Khaali Hai Nigah Pak Nahin Hai is written by Allama Iqbal. Read famous Poem Dil Soz Se Khaali Hai Nigah Pak Nahin Hai for youth and Student by Allama Iqbal. Free Download Dil Soz Se Khaali Hai Nigah Pak Nahin Hai in PDF.