Hadsa Wo Jo Abhi Parda-e-aflak Mein Hai

hadsa wo jo abhi parda-e-aflak mein hai

aks us ka mere aaina-e-idrak mein hai

na sitare mein hai ne gardish-e-aflak mein hai

teri taqdir mere nala-e-bebak mein hai

ya meri aah mein hi koi sharar zinda nahin

ya zara nam abhi tere KHas-o-KHashak mein hai

kya ajab meri nawa-ha-e-sahar-gahi se

zinda ho jae wo aatish jo teri KHak mein hai

toD Dalegi yahi KHak tilsim-e-shab-o-roz

garche uljhi hui taqdir ke pechaak mein hai

(1777) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hadsa Wo Jo Abhi Parda-e-aflak Mein Hai In English By Famous Poet Allama Iqbal. Hadsa Wo Jo Abhi Parda-e-aflak Mein Hai is written by Allama Iqbal. Read famous Poem Hadsa Wo Jo Abhi Parda-e-aflak Mein Hai for youth and Student by Allama Iqbal. Free Download Hadsa Wo Jo Abhi Parda-e-aflak Mein Hai in PDF.