Har Ek Maqam Se Aage Guzar Gaya Mah-e-nau

har ek maqam se aage guzar gaya mah-e-nau

kamal kis ko mayassar hua hai be-tag-o-dau

nafas ke zor se wo ghuncha wa hua bhi to kya

jise nasib nahin aaftab ka partaw

nigah pak hai teri to pak hai dil bhi

ki dil ko haq ne kiya hai nigah ka pairaw

panap saka na KHayaban mein lala-e-dil-soz

ki sazgar nahin ye jahan-e-gandum-o-jau

rahe na 'aibak' o 'ghauri' ke marke baqi

hamesha taza o shirin hai naghma-e-'KHusrau'

(1864) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Har Ek Maqam Se Aage Guzar Gaya Mah-e-nau In English By Famous Poet Allama Iqbal. Har Ek Maqam Se Aage Guzar Gaya Mah-e-nau is written by Allama Iqbal. Read famous Poem Har Ek Maqam Se Aage Guzar Gaya Mah-e-nau for youth and Student by Allama Iqbal. Free Download Har Ek Maqam Se Aage Guzar Gaya Mah-e-nau in PDF.