Maktabon Mein Kahin Ranai-e-afkar Bhi Hai

maktabon mein kahin ranai-e-afkar bhi hai

KHanqahon mein kahin lazzat-e-asrar bhi hai

manzil-e-rah-rawan dur bhi dushwar bhi hai

koi is qafile mein qafila-salar bhi hai

baDh ke KHaibar se hai ye marka-e-din-o-watan

is zamane mein koi haidar-e-karrar bhi hai

ilm ki had se pare banda-e-momin ke liye

lazzat-e-shauq bhi hai nemat-e-didar bhi hai

pir-e-mai-KHana ye kahta hai ki aiwan-e-farang

sust-buniyaad bhi hai aaina-diwar bhi hai

(2005) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Maktabon Mein Kahin Ranai-e-afkar Bhi Hai In English By Famous Poet Allama Iqbal. Maktabon Mein Kahin Ranai-e-afkar Bhi Hai is written by Allama Iqbal. Read famous Poem Maktabon Mein Kahin Ranai-e-afkar Bhi Hai for youth and Student by Allama Iqbal. Free Download Maktabon Mein Kahin Ranai-e-afkar Bhi Hai in PDF.