MiTa Diya Mere Saqi Ne Aalam-e-man-o-tu

miTa diya mere saqi ne aalam-e-man-o-tu

pila ke mujh ko mai-e-la-ilaha-illa-hu

na mai na sher na saqi na shor-e-chang-o-rabab

sukut-e-koh o lab-e-ju wa lala-e-KHud-ru

gada-e-mai-kada ki shan-e-be-niyazi dekh

pahunch ke chashma-e-haiwan pe toDta hai subu

mera sabucha ghanimat hai is zamane mein

ki KHanqah mein KHali hain sufiyon ke kadu

main nau-niyaz hun mujh se hijab hi aula

ki dil se baDh ke hai meri nigah be-qabu

agarche bahr ki maujon mein hai maqam is ka

safa-e-paki-e-tinat se hai guhar ka wazu

jamil-tar hain gul o lala faiz se is ke

nigah-e-shair-e-rangin-nawa mein hai jadu

(1979) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

MiTa Diya Mere Saqi Ne Aalam-e-man-o-tu In English By Famous Poet Allama Iqbal. MiTa Diya Mere Saqi Ne Aalam-e-man-o-tu is written by Allama Iqbal. Read famous Poem MiTa Diya Mere Saqi Ne Aalam-e-man-o-tu for youth and Student by Allama Iqbal. Free Download MiTa Diya Mere Saqi Ne Aalam-e-man-o-tu in PDF.