Taza Phir Danish-e-hazir Ne Kiya Sehr-e-qadim

taza phir danish-e-hazir ne kiya sehr-e-qadim

guzar is ahd mein mumkin nahin be-chob-e-kalim

aql ayyar hai sau bhes bana leti hai

ishq bechaara na mulla hai na zahid na hakim

aish-e-manzil hai ghariban-e-mohabbat pe haram

sab musafir hain ba-zahir nazar aate hain muqim

hai garan-sair gham-e-rahila-o-zad se tu

koh o dariya se guzar sakte hain manind-e-nasim

mard-e-darwesh ka sarmaya hai aazadi o marg

hai kisi aur ki KHatir ye nisab-e-zar-o-sim

(1992) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Taza Phir Danish-e-hazir Ne Kiya Sehr-e-qadim In English By Famous Poet Allama Iqbal. Taza Phir Danish-e-hazir Ne Kiya Sehr-e-qadim is written by Allama Iqbal. Read famous Poem Taza Phir Danish-e-hazir Ne Kiya Sehr-e-qadim for youth and Student by Allama Iqbal. Free Download Taza Phir Danish-e-hazir Ne Kiya Sehr-e-qadim in PDF.