Ye Dair-e-kuhan Kya Hai Ambar-e-KHas-o-KHashak

ye dair-e-kuhan kya hai ambar-e-KHas-o-KHashak

mushkil hai guzar is mein be-nala-e-atishnak

naKHchir-e-mohabbat ka qissa nahin tulani

lutf-e-KHalish-e-paikan aasudgi-e-fitrak

khoya gaya jo matlab haftad o do millat mein

samjhega na tu jab tak be-rang na ho idrak

ek shar-e-musalmani ek jazb-e-musalmani

hai jazb-e-musalmani sirr-e-falak-ul-aflak

ai rahraw-e-farzana be-jazb-e-musalmani

ne rah-e-amal paida ne shaKH-e-yaqin namnak

ramzin hain mohabbat ki gustaKHi o bebaki

har shauq nahin gustaKH har jazb nahin bebak

farigh to na baiThega mahshar mein junun mera

ya apna gareban chaak ya daman-e-yazdan chaak

(3029) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ye Dair-e-kuhan Kya Hai Ambar-e-KHas-o-KHashak In English By Famous Poet Allama Iqbal. Ye Dair-e-kuhan Kya Hai Ambar-e-KHas-o-KHashak is written by Allama Iqbal. Read famous Poem Ye Dair-e-kuhan Kya Hai Ambar-e-KHas-o-KHashak for youth and Student by Allama Iqbal. Free Download Ye Dair-e-kuhan Kya Hai Ambar-e-KHas-o-KHashak in PDF.