Saqi-nama

hua KHema-zan karwan-e-bahaar

iram ban gaya daman-e-koh-sar

gul o nargis o sosan o nastaran

shahid-e-azal lala-KHunin kafan

jahan chhup gaya parda-e-rang mein

lahu ki hai gardish rag-e-sang mein

faza nili nili hawa mein surur

Thaharte nahin aashiyan mein tuyur

wo ju-e-kohistan uchakti hui

aTakti lachakti sarakti hui

uchhalti phisalti sambhalti hui

baDe pech kha kar nikalti hui

ruke jab to sil chir deti hai ye

pahaDon ke dil chir deti hai ye

zara dekh ai saqi-e-lala-fam

sunati hai ye zindagi ka payam

pila de mujhe wo mai-e-parda-soz

ki aati nahin fasl-e-gul roz roz

wo mai jis se raushan zamir-e-hayat

wo mai jis se hai masti-e-kaenat

wo mai jis mein hai soz-o-saz-e-azal

wo mai jis se khulta hai raaz-e-azal

uTha saqiya parda is raaz se

laDa de mamule ko shahbaz se

zamane ke andaz badle gae

naya rag hai saz badle gae

hua is tarah fash raaz-e-farang

ki hairat mein hai shisha-baz-e-farang

purani siyasat-gari KHwar hai

zamin mir o sultan se be-zar hai

gaya daur-e-sarmaya-dar gaya

tamasha dikha kar madari gaya

giran KHwab chini sambhalne lage

himala ke chashme ubalne lage

dil-e-tur-e-sina-o-faran do-nim

tajalli ka phir muntazir hai kalim

musalman hai tauhid mein garam-josh

magar dil abhi tak hai zunnar-posh

tamaddun tasawwuf shariat-e-kalam

butan-e-ajam ke pujari tamam

haqiqat KHurafat mein kho gai

ye ummat riwayat mein kho gai

lubhata hai dil ko kalam-e-KHatib

magar lazzat-e-shauq se be-nasib

bayan is ka mantiq se suljha hua

lughat ke bakheDon mein uljha hua

wo sufi ki tha KHidmat-e-haq mein mard

mohabbat mein yakta hamiyat mein fard

ajam ke KHayalat mein kho gaya

ye salik maqamat mein kho gaya

bujhi ishq ki aag andher hai

musalman nahin rakh ka Dher hai

sharab-e-kuhan phir pila saqiya

wahi jam gardish mein la saqiya

mujhe ishq ke par laga kar uDa

meri KHak jugnu bana kar uDa

KHirad ko ghulami se aazad kar

jawanon ko piron ka ustad kar

hari shaKH-e-millat tere nam se hai

nafas is badan mein tere dam se hai

taDapne phaDakne ki taufiq de

dil-e-murtaza soz-e-siddiq de

jigar se wahi tir phir par kar

tamanna ko sinon mein bedar kar

tere aasmanon ke taron ki KHair

zaminon ke shab zinda-daron ki KHair

jawanon ko soz-e-jigar baKHsh de

mera ishq meri nazar baKHsh de

meri naw girdab se par kar

ye sabit hai to is ko sayyar kar

bta mujh ko asrar-e-marg-o-hayat

ki teri nigahon mein hai kaenat

mere dida-e-tar ki be-KHwabiyan

mere dil ki poshida betabiyan

mere nala-e-nim-shab ka niyaz

meri KHalwat o anjuman ka gudaz

umangen meri aarzuen meri

ummiden meri justujuen meri

meri fitrat aaina-e-rozgar

ghazalan-e-afkar ka murgh-zar

mera dil meri razm-gah-e-hayat

gumanon ke lashkar yaqin ka sabaat

yahi kuchh hai saqi mata-e-faqir

isi se faqiri mein hun main amir

mere qafile mein luTa de ise

luTa de Thikane laga de ise

dama-dam rawan hai yam-e-zindagi

har ek shai se paida ram-e-zindagi

isi se hui hai badan ki numud

ki shole mein poshida hai mauj-e-dud

giran garche hai sohbat-e-ab-o-gil

KHush aai ise mehnat-e-ab-o-gil

ye sabit bhi hai aur sayyar bhi

anasir ke phandon se be-zar bhi

ye wahdat hai kasrat mein har dam asir

magar har kahin be-chugon be-nazir

ye aalam ye but-KHana-e-shash-jihat

isi ne tarasha hai ye somnat

pasand is ko takrar ki KHu nahin

ki tu main nahin aur main tu nahin

man o tu se hai anjuman-afrin

magar ain-e-mahfil mein KHalwat-nashin

chamak us ki bijli mein tare mein hai

ye chandi mein sone mein pare mein hai

usi ke bayaban usi ke babul

usi ke hain kanTe usi ke hain phul

kahin us ki taqat se kohsar chur

kahin us ke phande mein jibrail o hur

kahin jaza hai shahin simab rang

lahu se chakoron ke aaluda chang

kabutar kahin aashiyane se dur

phaDakta hua jal mein na-subur

fareb-e-nazar hai sukun o sabaat

taDapta hai har zarra-e-kaenat

Thaharta nahin karwan-e-wajud

ki har lahz hai taza shan-e-wajud

samajhta hai tu raaz hai zindagi

faqat zuaq-e-parwaz hai zindagi

bahut us ne dekhe hain past o buland

safar us ko manzil se baDh kar pasand

safar zindagi ke liye barg o saz

safar hai haqiqat hazar hai majaz

ulajh kar sulajhne mein lazzat use

taDapne phaDakne mein rahat use

hua jab use samna maut ka

kaThin tha baDa thamna maut ka

utar kar jahan-e-makafat mein

rahi zindagi maut ki ghat mein

mazaq-e-dui se bani zauj zauj

uThi dasht o kohsar se fauj fauj

gul is shaKH se TuTte bhi rahe

isi shaKH se phuTte bhi rahe

samajhte hain nadan use be-sabaat

ubharta hai miT miT ke naqsh-e-hayat

baDi tez jaulan baDi zud-ras

azal se abad tak ram-e-yak-nafs

zamana ki zanjir-e-ayyam hai

damon ke ulaT-pher ka nam hai

ye mauj-e-nafs kya hai talwar hai

KHudi kya hai talwar ki dhaar hai

KHudi kya hai raaz-darun-hayat

KHudi kya hai bedari-e-kaenat

KHudi jalwa badmast o KHalwat-pasand

samundar hai ek bund pani mein band

andhere ujale mein hai tabnak

man o tu mein paida man o tu se pak

azal us ke pichhe abad samne

na had us ke pichhe na had samne

zamane ke dariya mein bahti hui

sitam us ki maujon ke sahti hui

tajassus ki rahen badalti hui

dama-dam nigahen badalti hui

subuk us ke hathon mein sang-e-giran

pahaD us ki zarbon se reg-e-rawan

safar us ka anjam o aaghaz hai

yahi us ki taqwim ka raaz hai

kiran chand mein hai sharar sang mein

ye be-rang hai Dub kar rang mein

ise wasta kya kam-o-besh se

nasheb o faraaz o pas-o-pesh se

azal se hai ye kashmakash mein asir

hui KHak-e-adam mein surat-pazir

KHudi ka nasheman tere dil mein hai

falak jis tarah aankh ke til mein hai

KHudi ke nigah-ban ko hai zahr-nab

wo nan jis se jati rahe us ki aab

wahi nan hai us ke liye arjumand

rahe jis se duniya mein gardan buland

KHudi fal-e-mahmud se darguzar

KHudi par nigah rakh ayazi na kar

wahi sajda hai laiq-e-ehtimam

ki ho jis se har sajda tujh par haram

ye aalam ye hangama-e-rang-o-saut

ye aalam ki hai zer-e-farman-e-maut

ye aalam ye but-KHana-e-chashm-o-gosh

jahan zindagi hai faqat KHurd o nosh

KHudi ki ye hai manzil-e-awwalin

musafir ye tera nasheman nahin

teri aag is KHak-dan se nahin

jahan tujh se hai tu jahan se nahin

baDhe ja ye koh-e-giran toD kar

tilism-e-zaman-o-makan toD kar

KHudi sher-e-maula jahan us ka said

zamin us ki said aasman us ka said

jahan aur bhi hain abhi be-numud

ki KHali nahin hai zamir-e-wajud

har ek muntazir teri yalghaar ka

teri shauKHi-e-fikr-o-kirdar ka

ye hai maqsad gardish-e-rozgar

ki teri KHudi tujh pe ho aashkar

tu hai fatah-e-alam-e-KHub-o-zisht

tujhe kya bataun teri sarnawisht

haqiqat pe hai jama-e-harf-e-tang

haqiqat hai aaina-e-guftar-e-zang

farozan hai sine mein sham-e-nafas

magar tab-e-guftar rakhti hai bas

agar yak-sar-e-mu-e-bartar param

farogh-e-tajalli ba-sozad param

(5900) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Saqi-nama In English By Famous Poet Allama Iqbal. Saqi-nama is written by Allama Iqbal. Read famous Poem Saqi-nama for youth and Student by Allama Iqbal. Free Download Saqi-nama in PDF.