Walida Marhuma Ki Yaad Mein

zarra zarra dahr ka zindani-e-taqdir hai

parda-e-majburi o bechaargi tadbir hai

aasman majbur hai shams o qamar majbur hain

anjum-e-simab-pa raftar par majbur hain

hai shikast anjam ghunche ka subu gulzar mein

sabza o gul bhi hain majbur-e-numu gulzar mein

naghma-e-bulbul ho ya aawaz-e-KHamosh-e-zamir

hai isi zanjir-e-alam-gir mein har shai asir

aankh par hota hai jab ye sirr-e-majburi ayan

KHushk ho jata hai dil mein ashk ka sail-e-rawan

qalb-e-insani mein raqs-e-aish-o-gham rahta nahin

naghma rah jata hai lutf-e-zer-o-bam rahta nahin

ilm o hikmat rahzan-e-saman-e-ashk-o-ah hai

yani ek almas ka TukDa dil-e-agah hai

garche mere bagh mein shabnam ki shadabi nahin

aankh meri maya-dar-e-ashk-e-unnabi nahin

jaanta hun aah mein aalam-e-insani ka raaz

hai nawa-e-shikwa se KHali meri fitrat ka saz

mere lab par qissa-e-nairangi-e-dauran nahin

dil mera hairan nahin KHanda nahin giryan nahin

par teri taswir qasid girya-e-paiham ki hai

aah ye tardid meri hikmat-e-mohkam ki hai

girya-e-sarshaar se buniyaad-e-jaan painda hai

dard ke irfan se aql-e-sang-dil sharminda hai

mauj-e-dud-e-ah se aaina hai raushan mera

ganj-e-ab-awrd se mamur hai daman mera

hairati hun main teri taswir ke ejaz ka

ruKH badal Dala hai jis ne waqt ki parwaz ka

rafta o hazir ko goya pa-ba-pa is ne kiya

ahd-e-tifli se mujhe phir aashna is ne kiya

jab tere daman mein palti thi wo jaan-e-na-tawan

baat se achchhi tarah mahram na thi jis ki zaban

aur ab charche hain jis ki shoKHi-e-guftar ke

be-baha moti hain jis ki chashm-e-gauhar-bar ke

ilm ki sanjida-guftari buDhape ka shuur

dunyawi ezaz ki shaukat jawani ka ghurur

zindagi ki auj-gahon se utar aate hain hum

sohbat-e-madar mein tifl-e-sada rah jate hain hum

be-takalluf KHanda-zan hain fikr se aazad hain

phir usi khoe hue firdaus mein aabaad hain

kis ko ab hoga watan mein aah mera intizar

kaun mera KHat na aane se rahega be-qarar

KHak-e-marqad par teri le kar ye fariyaad aaunga

ab dua-e-nim-shab mein kis ko main yaad aaunga

tarbiyat se teri mein anjum ka ham-qismat hua

ghar mere ajdad ka sarmaya-e-izzat hua

daftar-e-hasti mein thi zarrin waraq teri hayat

thi sarapa din o duniya ka sabaq teri hayat

umr bhar teri mohabbat meri KHidmat-gar rahi

main teri KHidmat ke qabil jab hua tu chal basi

wo jawan-qamat mein hai jo surat-e-sarw-e-buland

teri KHidmat se hua jo mujh se baDh kar bahra-mand

karobar-e-zindagani mein wo ham-pahlu mera

wo mohabbat mein teri taswir wo bazu mera

tujh ko misl-e-tiflak-e-be-dast-o-pa rota hai wo

sabr se na-ashna subh o masa rota hai wo

tuKHm jis ka tu hamari kisht-e-jaan mein bo gai

shirkat-e-gham se wo ulfat aur mohkam ho gai

aah ye duniya ye matam-KHana-e-barna-o-pir

aadmi hai kis tilism-e-dosh-o-farda mein asir

kitni mushkil zindagi hai kis qadar aasan hai maut

gulshan-e-hasti mein manind-e-nasim arzan hai maut

zalzale hain bijliyan hain qaht hain aalam hain

kaisi kaisi duKHtaran-e-madar-e-ayyam hain

kalba-e-iflas mein daulat ke kashane mein maut

dasht o dar mein shahr mein gulshan mein virane mein maut

maut hai hangama-ara qulzum-e-KHamosh mein

Dub jate hain safine mauj ki aaghosh mein

ne majal-e-shikwa hai ne taqat-e-guftar hai

zindagani kya hai ek tauq-e-gulu-afshaar hai

qafile mein ghair fariyaad-e-dira kuchh bhi nahin

ek mata-e-dida-e-tar ke siwa kuchh bhi nahin

KHatm ho jaega lekin imtihan ka daur bhi

hain pas-e-noh parda-e-gardun abhi daur aur bhi

sina chaak is gulsitan mein lala-o-gul hain to kya

nala o fariyaad par majbur bulbul hain to kya

jhaDiyan jin ke qafas mein qaid hai aah-e-KHizan

sabz kar degi unhen baad-e-bahaar-e-jawedan

KHufta-KHak-e-pai sipar mein hai sharar apna to kya

aarzi mahmil hai ye musht-e-ghubar apna to kya

zindagi ki aag ka anjam KHakistar nahin

TuTna jis ka muqaddar ho ye wo gauhar nahin

zindagi mahbub aisi dida-e-qudrat mein hai

zauq-e-hifz-e-zindagi har chiz ki fitrat mein hai

maut ke hathon se miT sakta agar naqsh-e-hayat

aam yun us ko na kar deta nizam-e-kaenat

hai agar arzan to ye samjho ajal kuchh bhi nahin

jis tarah sone se jine mein KHalal kuchh bhi nahin

aah ghafil maut ka raaz-e-nihan kuchh aur hai

naqsh ki na-paedari se ayan kuchh aur hai

jannat-e-nazara hai naqsh-e-hawa baala-e-ab

mauj-e-muztar toD kar tamir karti hai habab

mauj ke daman mein phir us ko chhupa deti hai ye

kitni bedardi se naqsh apna miTa deti hai ye

phir na kar sakti habab apna agar paida hawa

toDne mein us ke yun hoti na be-parwa hawa

is rawish ka kya asar hai haiyat-e-tamir par

ye to hujjat hai hawa ki quwwat-e-tamir par

fitrat-e-hasti shahid-e-arzu rahti na ho

KHub-tar paikar ki us ko justuju rahti na ho

aah simab-e-pareshan anjum-e-gardun-faroz

shoKH ye chingariyan mamnun-e-shab hai jin ka soz

aql jis se sar-ba-zanu hai wo muddat in ki hai

sarguzisht-e-nau-e-insan ek saat un ki hai

phir ye insan aan su-e-aflak hai jis ki nazar

qudsiyon se bhi maqasid mein hai jo pakiza-tar

jo misal-e-shama raushan mahfil-e-qudrat mein hai

aasman ek nuqta jis ki wusat-e-fitrat mein hai

jis ki nadani sadaqat ke liye betab hai

jis ka naKHun saz-e-hasti ke liye mizrab hai

shola ye kam-tar hai gardun ke shararon se bhi kya

kam-baha hai aaftab apna sitaron se bhi kya

tuKHm-e-gul ki aankh zer-e-KHak bhi be-KHwab hai

kis qadar nashw-o-numa ke waste betab hai

zindagi ka shola is dane mein jo mastur hai

KHud-numai KHud-fazai ke liye majbur hai

sardi-e-marqad se bhi afsurda ho sakta nahin

KHak mein dab kar bhi apna soz kho sakta nahin

phul ban kar apni turbat se nikal aata hai ye

maut se goya qaba-e-zindagi pata hai ye

hai lahad is quwwat-e-ashufta ki shiraaza-band

Dalti hai gardan-e-gardun mein jo apni kamand

maut tajdid-e-mazaq-e-zindagi ka nam hai

KHwab ke parde mein bedari ka ek paigham hai

KHugar-e-parwaz ko parwaz mein Dar kuchh nahin

maut is gulshan mein juz sanjidan-e-par kuchh nahin

kahte hain ahl-e-jahan dard-e-ajal hai la-dawa

zaKHm-e-furqat waqt ke marham se pata hai shifa

dil magar gham marne walon ka jahan aabaad hai

halqa-e-zanjir-e-subh-o-sham se aazad hai

waqt ke afsun se thamta nala-e-matam nahin

waqt zaKHm-e-tegh-e-furqat ka koi marham nahin

sar pe aa jati hai jab koi musibat na-gahan

ashk paiham dida-e-insan se hote hain rawan

rabt ho jata hai dil ko nala o fariyaad se

KHun-e-dil bahta hai aankhon ki sarishk-abaad se

aadmi tab-e-shakebai se go mahrum hai

us ki fitrat mein ye ek ehsas-e-na-malum hai

jauhar-e-insan adam se aashna hota nahin

aankh se ghaeb to hota hai fana hota nahin

raKHt-e-hasti KHak-e-gham ki shola-afshani se hai

sard ye aag is latif ehsas ke pani se hai

aah ye zabt-e-fughan ghaflat ki KHamoshi nahin

aagahi hai ye dilasai faramoshi nahin

parda-e-mashriq se jis dam jalwa-gar hoti hai subh

dagh shab ka daman-e-afaq se dhoti hai subh

lala-e-afsurda ko aatish-qaba karti hai ye

be-zaban tair ko sarmast-e-nawa karti hai ye

sina-e-bulbul ke zindan se sarod aazad hai

saikDon naghmon se baad-e-subh-dam-abaad hai

KHuftagan-e-lala-zar o kohsar o rud bar

hote hain aaKHir urus-e-zindagi se ham-kanar

ye agar aain-e-hasti hai ki ho har sham subh

marqad-e-insan ki shab ka kyun na ho anjam subh

dam-e-simin-e-taKHayyul hai mera aafaq-gir

kar liya hai jis se teri yaad ko main ne asir

yaad se teri dil-e-dard aashna mamur hai

jaise kabe mein duaon se faza mamur hai

wo faraez ka tasalsul nam hai jis ka hayat

jalwa-gahen us ki hain lakhon jahan-e-be-sabaat

muKHtalif har manzil-e-hasti ko rasm-o-rah hai

aaKHirat bhi zindagi ki ek jaulan-gah hai

hai wahan be-hasili kisht-e-ajal ke waste

sazgar aab-o-hawa tuKHm-e-amal ke waste

nur-e-fitrat zulmat-e-paikar ka zindani nahin

tang aisa halqa-e-afkar-e-insani nahin

zindagani thi teri mahtab se tabinda-tar

KHub-tar tha subh ke tare se bhi tera safar

misl-e-aiwan-e-sahar marqad farozan ho tera

nur se mamur ye KHaki shabistan ho tera

aasman teri lahad par shabnam-afshani kare

sabza-e-nau-rasta is ghar ki nigahbani kare

(7920) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Walida Marhuma Ki Yaad Mein In English By Famous Poet Allama Iqbal. Walida Marhuma Ki Yaad Mein is written by Allama Iqbal. Read famous Poem Walida Marhuma Ki Yaad Mein for youth and Student by Allama Iqbal. Free Download Walida Marhuma Ki Yaad Mein in PDF.