Aankhon Ka Pura Shahr Hi Sailab Kar Gaya

aankhon ka pura shahr hi sailab kar gaya

ye kaun mujh mein nazm ki surat utar gaya

jangal mein teri yaad ke jugnun chamak uThe

maidan siyah-shab ka ujalon se bhar gaya

warna siyah raat mein jhulsa hua tha main

ye to tumhaari dhup mein kuchh kuchh nikhar gaya

jhuma thirakte nachte joDon mein kuchh ghaDi

dil phir na jaane kaisi udasi se bhar gaya

donon ana mein chur the an-ban si ho gai

rishta naya naya sa tha kuchh din mein mar gaya

pahle kuchh ek din to kaTi mushkilon mein raat

phir tera hijr meri ragon mein utar gaya

hathon se apne KHud hi nasheman ujaD kar

dekho udas ho ke parinda kidhar gaya

ek chiKH aasman ke daman mein so gai

dil ki zamin pe dard har ek su bikhar gaya

(739) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aankhon Ka Pura Shahr Hi Sailab Kar Gaya In English By Famous Poet Alok Mishra. Aankhon Ka Pura Shahr Hi Sailab Kar Gaya is written by Alok Mishra. Read famous Poem Aankhon Ka Pura Shahr Hi Sailab Kar Gaya for youth and Student by Alok Mishra. Free Download Aankhon Ka Pura Shahr Hi Sailab Kar Gaya in PDF.