Jaane Kis Baat Se Dukha Hai Bahut

jaane kis baat se dukha hai bahut

dil kai roz se KHafa hai bahut

sab sitare dilasa dete hain

chand raaton ko chiKHta hai bahut

phir wahi raat mujh mein Thahri hai

phir samaat mein shor sa hai bahut

tum zamane ki baat karte ho

mera mujh se bhi fasla hai bahut

us ki dukhti nasen na phaT jaen

dil musalsal ye sochta hai bahut

wasta kuchh zarur hai tum se

tum ko wo shaKHs puchhta hai bahut

tum se bichhDa to TuT jaega

us ki aankhon mein hausla hai bahut

chakh ke dekho ise kabhi tum bhi

is udasi mein zaiqa hai bahut

in ki sansen gini-chuni hain bas

KHun lamhon ka bah gaya hai bahut

dasht ko kar liya tha ghar main ne

ab mujhe ghar ye kaTta hai bahut

is se bahar nikal na paoge

dasht mazi ka ye ghana hai bahut

mera sukh dukh samajhti hain ghazlen

zindagi ko ye aasra hai bahut

(902) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jaane Kis Baat Se Dukha Hai Bahut In English By Famous Poet Alok Mishra. Jaane Kis Baat Se Dukha Hai Bahut is written by Alok Mishra. Read famous Poem Jaane Kis Baat Se Dukha Hai Bahut for youth and Student by Alok Mishra. Free Download Jaane Kis Baat Se Dukha Hai Bahut in PDF.