KHak Ho Kar Bhi Kab MiTunga Main

KHak ho kar bhi kab miTunga main

phul ban kar yahin khilunga main

tujh ko aawaz bhi main kyun dunga

tera rasta bhi kyun takunga main

ek purane se zaKHm par ab ke

koi marham naya rakhunga main

gher lengi ye titliyan mujh ko

KHushbuen jiyun riha karunga main

KHud se bahar to kam nikalta hun

ji mein aaya to phir milunga main

warna jina muhaal kar dega

dard ko ab ghazal karunga main

dhukdhuki si lagi hai kyun ji ko

itni jaldi kahan marunga main

sansen deti rahin jo chingari

ek jangal sa jal uThunga main

thak gaya hun main is jazire par

phir samundar ka ruKH karunga main

ruh ka ye libas badlunga

bhes duja koi dharunga main

(780) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

KHak Ho Kar Bhi Kab MiTunga Main In English By Famous Poet Alok Mishra. KHak Ho Kar Bhi Kab MiTunga Main is written by Alok Mishra. Read famous Poem KHak Ho Kar Bhi Kab MiTunga Main for youth and Student by Alok Mishra. Free Download KHak Ho Kar Bhi Kab MiTunga Main in PDF.