Sabz Hai Pairahan Chand Ka Aaj Phir

sabz hai pairahan chand ka aaj phir

rang-e-rukHsar hai surKH sa aaj phir

kar gai kaam teri ada aaj phir

sehn-e-gul ne kaha marhaba aaj phir

tere paikar ko chhu kar chali aai hai

marmarin hai badan raat ka aaj phir

le ke aaghosh mein chand ko aasman

munh zamin ko chiDhata raha aaj phir

yaad chandan-wanon se guzarti rahi

man mein sandal mahakta raha aaj phir

dil ki nakaamiyan hi KHata-war hain

wo gunahon ka hai dewta aaj phir

chand suraj hue aamne-samne

imtihan sagaron ka raha aaj phir

aao 'alok' sair-e-chaman ko chalen

uTh ke aai hai kali ghaTa aaj phir

(1693) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sabz Hai Pairahan Chand Ka Aaj Phir In English By Famous Poet Alok Yadav. Sabz Hai Pairahan Chand Ka Aaj Phir is written by Alok Yadav. Read famous Poem Sabz Hai Pairahan Chand Ka Aaj Phir for youth and Student by Alok Yadav. Free Download Sabz Hai Pairahan Chand Ka Aaj Phir in PDF.