Dhup Ke Sae

sham dulhan ki tarah

apne rangon mein nahai hui sharmai hui baiThi hai

gosha-e-chashm se kajal ki syahi abhi aansu ban kar

bahte ghaze mein nahin jazb hui

abhi khoi nahin baalon ki dil-afroz pareshani mein

muskuraati hui sindur ki mang

ghulte rangon mein abhi kahish-e-jaan baqi hai

ghulte rangon ka koi kya jaane

kab miTen kaise miTen

shab ki tarikiyan har samt bikhar jaen to aaram mile

ye chamakte hue zarre na rahen

zauq-e-tamasha na rahe

koi tamanna na rahe

ek kiran chhoD ke jati hi nahin

chashm-gin karti hui khel rahi hai ab tak

zard-ru ghas ke sine pe thirakti hui baDh jati hai

sang-rezo ki nigahon mein chamakti hui lauT aati hai

koi samjhae use jao chali jao yahan ab kya hai

dhup ke kanpte sayon ko zara baDhne do

shab ki tarikiyan chha jaane do

main ne sau bar kaha ek na mani us ne

muskuraati hui shaKHon pe larazti hi rahi

yun bhi taDpane mein ek lutf to hai soz to hai

rang ghulte hain ghulenge aaKHir

ghulte rangon ka koi kya jaane

kab miTen kaise miTen

apne rangon mein nahai hui sharmai hui

sham dulhan ki tarah baiThi rahi baiThi rahi

(958) Peoples Rate This

Altaf Gauhar's More Poetry

Your Thoughts and Comments

Dhup Ke Sae In English By Famous Poet Altaf Gauhar. Dhup Ke Sae is written by Altaf Gauhar. Read famous Poem Dhup Ke Sae for youth and Student by Altaf Gauhar. Free Download Dhup Ke Sae in PDF.