Kahna BaDon Ka Mano

man bap aur ustad sab hain KHuda ki rahmat

hai rok-Tok un ki haq mein tumhaare neamat

kaDwi nasihaton mein un ki bhara hai amrit

chaho agar baDai to kahna baDon ka mano

man bap ka azizo mana na jis ne kahna

dushwar hai jahan mein izzat se us ka rahna

Dar hai paDe na sadma zillat ka us ka sahna

chaho agar baDai to kahna baDon ka mano

tum ko KHabar nahin kuchh apne bhale-bure ki

jitni hai umr chhoTi utni hai aql chhoTi

hai behtari usi mein hai jo baDon ki marzi

chaho agar baDai to kahna baDon ka mano

(3613) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kahna BaDon Ka Mano In English By Famous Poet Altaf Hussain Hali. Kahna BaDon Ka Mano is written by Altaf Hussain Hali. Read famous Poem Kahna BaDon Ka Mano for youth and Student by Altaf Hussain Hali. Free Download Kahna BaDon Ka Mano in PDF.